Aik Mehkoom Apney Neem Hakeem Se

Guest Post Sophia Ali

Does anyone remember the incomparable Malika Pukhraj singing “Abhi to main Jawan hoon”? I have evoked Hafeez Jalandhari sahib’s hypnotic cadences with a dash of black humour and a burning question about missing Pakistanis. I use the word Hakeem on purpose rather than Hakim to denote the self appointed Dictator/Doctor of our supposed collective national ills:


Khatm e jaan to darkinar
La illaj bepanah
Khud parasti ka shikar
Is kufr ka tu bemaar
Bar, bar, bar, bar
Bar, bar, bar, bar

Ae hakeem e neem jaa!
Ae hakeem e neem jaa!
Na phir kabhi hamein sata
Ae hakeem e neem jaa!

Bas to kar, bas to kar
Har shaks hai, pur fikr
Har aks pey, hai zikr
Tera nuskha e nagawar
Pe gaey beshumar
La pata, la pata
La pata, la pata

Rasta hai yeh kathin
Galey main hai bari guthan
Kahan gaey merey hamwatan?
Bata? Bata? Bata? Bata?
Bata? Bata? Bata? Bata?

Ae nakhuda, aaqa rawan
Jaata he, tu kahan?
Teri naqsh e bad hai ayan
Har zubaan, hai yak zubaan

Yeh zulm ki bijliyan
Yeh jism ki dhajiyan
Pukarti hain zar, zar
Pukarti hain bar bar

Ae hakeem e neem jaa!
Ae hakeem e neem jaa!
Na phir kabhi hamein sata
Ae hakeem e neem jaa!

Tera nuskha e nagawar
Phartey hain ab hazar
Is bazaar, us bazaar
Roshni ke janisar

Tera nuskha e napasand
Sach bhi hai nazarband
Par azm itna hai bulund
Khol dein ge sarey bundh

Josh hai shola numah
Chor meri kehkashan
Na tu koi shehenshah
Chor ye wahm o guman

Ae hakeem e neem jaa!
Ae hakeem e neem jaa!
Na phir kabhi hamein sata
Ae hakeem e neem jaa!

Warna dekh tera hashar
Kartey kya hain yeh bashar
Har ghuroor ka zuroor
Aik din hoga hisab
Hai zindagi jin ki azaab
Le kar rahen woh jawab!

Ae hakeem e neem jaa!
Ae hakeem e neem jaa!
Na phir kabhi hamein sata
Ae hakeem e neem jaa!

Naz
Dec 2 2007


Posted

in

, , ,

by

Tags:

Comments

5 responses to “Aik Mehkoom Apney Neem Hakeem Se”

  1. Sophia Ali Avatar
    Sophia Ali

    After I wrote this more verses came…

    Here is the updated version….

    Khatm e jaan to darkinar
    La illaj bepanah
    Khud parasti ka shikar
    Kufr ka tu bemaar
    Bar, bar, bar, bar
    Bar, bar, bar, bar

    Ae hakeem e neem jaa!
    Ae hakeem e neem jaa!
    Na phir kabhi hamein sata
    Ae hakeem e neem jaa!

    Bas to kar, bas to kar
    Har shaks hai, pur fikr
    Har aks pey, hai zikr
    Tera nuskha e nagawar
    Pe gaey beshumar
    La pata, la pata
    La pata, la pata

    Rasta hai yeh kathin
    Galey main hai bari guthan
    Kahan gaey merey hamwatan?
    Bata? Bata? Bata? Bata?
    Bata? Bata? Bata? Bata?

    Ae nakhuda, aaqa rawan
    Jaata he, tu kahan?
    Teri naqsh e bad hai ayan
    Har zubaan, har zubaan

    Yeh zulm ki bijliyan
    Yeh jism ki dhajiyan
    Pukarti hain zar, zar
    Pukarti hain bar bar

    Ae hakeem e neem jaa!
    Ae hakeem e neem jaa!
    Na phir kabhi hamein sata
    Ae hakeem e neem jaa!

    Tera nuskha e nagawar
    Phartey hain ab hazar
    Is bazaar, us bazaar
    Roshni ke janisar

    Tera nuskha e napasand
    Sach bhi hai nazarband
    Par azm itna hai bulund
    Khol dein ge sarey bundh

    Josh hai shola numah
    Chor meri kehkashan
    Na tu koi shehenshah
    Chor ye wahm o guman

    Ae hakeem e neem jaa!
    Ae hakeem e neem jaa!
    Na phir kabhi hamein sata
    Ae hakeem e neem jaa!

    Warna dekh tera kya hashar
    Kartey hain yeh bashar
    Har ghuroor ka zuroor
    Aik din hoga hisab
    Hai zindagi jin ki azaab
    Le kar rahen woh jawab!

    Ae hakeem e neem jaa!
    Ae hakeem e neem jaa!
    Na phir kabhi hamein sata
    Ae hakeem e neem jaa!

    Naz Nov 28 2007

  2. Faisalk Avatar

    Bravo Bravo 🙂

  3. JIbran Patel Avatar

    Corruption jin ka Eman ho,
    us say bana Haram ka makaan ho.
    Bhatiji leny ko jis ki jan ho.
    Nara roti Kapra or Makaan ho

    Bhai k khoun say rangey hath,
    Seyah`sat main jitna bhi diya balidan ho.
    Mr. 10% 4 saal hath laganay say 2 gaam ho,
    bete ki shakal jese Imran khan ho.

    Be-zamir oh be-nazir, jo bhi us ka naam ho,
    Sarey Mahal main me`y pay jis ki sham ho,

    Bhooki Awam ko Tassali, or Shahi astabal,.
    Seeb k marabey

    Loutna ho ya lotna ho, Sarzameen-e-Pakistan.
    Bura hoA, Chalo jo us ka Anjaam ho,

    Wadera` raaj Looter Asif,
    Bilawal Teer or baap Kaman`ho..

  4. Akram SH Avatar
    Akram SH

    Interested in neem oil extraction at small scale, please help at qasrida@hotmail.com