Guest Blog by Sophia Ali
Fellow Pakistanis,
I am outraged like many of you by the sheer brutality of the treatment meted out to Aitzaz Ahsan, and that too on Eid! My salutations to you Aitzaz and to all the heroes of the resistance. May Allah bring our struggle to fruition!
Woh Eid e Nazzara darkar hai yaron
Jahan zulm ki har hai yaron
Qaid ki bharmar hai yaron
Sach bhi giraftar hai yaron
Khalq e khuda bezaar hai yaron
Takhtnashin ghaddar hai yaron!
Naz
Dec 21
Comments
One response to “Woh Eid e Nazzara”
Kyun baitha hey mayus arzo samaa say?
Kyun kurhta hai her waqt gardish e zaman sey?
Kya is zulm ki siyah raat ke sahr na ho gi?
Kya jabr ki yeh talwar kabhi ser na ho gi?
Sunno keh sunata hoon tumhain main ik kahani
Aik qaum key logon ki tahreek ki kahani
Jub leader tha maysser tu haan issi qaum ney
Moli the aik jung angraiz sey nahatey
Zulm tub bhe tha per lougon ney haq ki khatir
De huq ke gawahi quam ney barh ker
Jub hum ney bahaya kamyabi kay leyey khub khoon paseena
Sikhaya hamain azadi ney phir hamein sir utha kay jeena
Yunhee nahi milli thi hamein qafs sey rahai
Thee yeh quam ki barson ki mahnat ki kamai
Phi baad mein hum bhool gaey yeh haqeeqat
Keh hoti hey azadi say barhkeh iski qeemat
Hum thay keh khawab e khergosh mein must
Qaum to hui gum, raha ik raiwer e budmust
So gher hamara choron nay sambhala
Chowkidar nay bhi haath izzat pey dala
Dur dya chor usney aur bun baitha maseeha
Jaga nahee phir bhe neend say makeenon ka qabeela
Kabhi NAB banai aur kabhi mukka dikhaya
Qaum ki ghairat ko yoon kai baar aazmaya
Challa who daur e sayah keh hoi quam baihal
Chaa gaya “quami mafadat ka her soo jaal
Din hamari zindagi mein phir teen march ka aaya
Jaisay badal koi karakti dhoop main aaya
Haq ke shama jul uthi achanak Iftekhar ki “NA” mein
Noor sa jaisay kahin bikhra Zulmat e shab mein
Tha ajab sama jo quam key uthney ka daikha
Toofan jaisey khamosh bahr main daikha
Her gam key lougon ney milkey sada yeh lagai
Manzoor hum ko nahi Munsif ki mushk kasai
Daikha phir her ik ney andaaz e hukoomat
Uryan huey chahrey thi jo “roshsn khyal hukoomat”
Jhoot tha sabhi wazeeran e waqt ka kalma
Babang e dahal kya TV per her sufaid ko syah
Her zour zalim nay phir zulm ka aazmaya
Pakistan say pehlay, apna aap bachaya
Hey abhi tuk jung jari aey humwatano
Sambhel kay chalna hay waqt kathan humwatano
Ger aulad ka mustaqbil hey aziz humko
Is jung ko her haal mein jeetna hey humko
Us daur mein kasay jiyein gey kul kay bachhay
Jis daur mein insaf ka ho naam he musharraf
Kya aaj bhi rahain gay hum halat e chup main?
Hain jub ba zameer munsif qafas main?
Utho aur bacha saktey ho to mulk bacha lo
Quaid ki amanat upna kul bacha lo
Aey Khuda dey is qaum ko himmat
Tersay ge werna insaf ko ta roz e qayamat